Uska Intezar Shayari | इंतज़ार शायरी | Waiting Shayari Hindi Images

Aane ka Intezar Shayari

“Badi shidat se unke deedaar ka kiya intezar,
Woh pehchaan hi nahi paye meri mohabbat ko,
Jinhe maine sabse jyaada pyaar kiya.”
……………………………………
“Tumhare intezaar ne hamko itna bekarar kar diya ki,
Ab to tumhare aane ki har ummid ko bhi bhula diya,
Tumhare intezaar ka jalaya hua diya bhi ab to bhuja diya,
Aur hantho se vo pyar ki lakiro ko bhi mita diya.”
……………………………………
“Ummedon ke sahare jiye ja rahe hai,
Tere naam hottho pe liye ja rahe hai,
Ek woh hai jo aane ka naam nahi leti,
Ek hum hai ki intezar kiye ja rahe hai.”
……………………………………
“Ek ajnabee se mujhe pyaar hai,
Inkaar karne par bhi ikraar hai,
Usey pana nahi meri taqdeer mein,
Phir bhi har waqt uska intezar hai.”
Waiting Shayari Hindi Image

“Koi wada nahi phir bhi tera intezar hai,
Judai ke bawjud bhi tujhse pyaar hai,
Chehre ki udasi de rahi hai gawhai,
Mujhse milne ke liye tu bhi bekarar hai.”
……………………………………
“Har pal tera intezar rehta hai,
Tere liye ae sanam yeh dil bekarar hai,
Na tu kbhi aaya hai,na tu kabhi aayegi,
Phir bhi kyun tera intezar hai.”
……………………………………
“Pedh ke neeche baitha rehta hoon mai,
Patton par naam tera likhta rehta hoon mai,
Kab tak intezar karna padega tera mujhe,
Apne aansuon se iss pedh ko seechta rehta hoon mai.”
……………………………………
“Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain,
Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hain,
Log maut tak hi dildaar ki raah takte hain,
Hum hai ki kabar mai bhi tera intezaar karte hain.”
……………………………………
“Kya kare jab hardam kisi ki yaad aaye,
Har dhadkan pe kisi ka naam Aaye,
Kaise katenge ye lamhe intezar me uske,
Ishq me har ghadi meri jaan jaaye.”
इंतजार के लम्हे शायरी

“Badi mushkil mein hoo kaise ijhaar karu,
Woh toh khusboo hai kaise giraftaar karu,
Uski mohabbat me mera hakk nahi lekin,
Dil karta hai ki aakhri saans tak uska intezar karu.”
……………………………………
“Shamo ke nazare jab sadakon par jhil milayenge
Oh mehboooba aashiq ban hum teri gali me khade ho jayenge
Khidki par aa jana jaise hi hum gaana gayenge
Warna tere intezaar mai hum wahi mar jayenge.”
……………………………………
“Zakhm itane gahre hain izhaar kya kare,
Ham khud nishana ban gaye waar kya kare,
Mar gaye ham magar khhuli rahi ye aankhein,
Isse jyada unka intezaar kya kare.”
……………………………………
“Unki jab marzi hoti hai wo,
Humse baat karte hain,
Or humara pagalpan to dekhiye,
Pura din hum unki marzi ka intezar karte hai.”
Uska Intezar Shayari Image

“Bahut ho chuka intezaar unka,
Ab aur zakham sahe jaate nahi,
Kya bayaan karein unke sitam ko,
Dard unke kahe jate nahi.”
……………………………………
“Tere intezar ka ye aalam hai,
Tadapta hai dil aankhen bhi namm hai,
Teri aarju mein jee rahe hai,
Warna jeene ki khwahish kam hai.”
……………………………………
“Khwabon me jeene ki jab aadat padd jati hai,
Hakikat ki duniya tab be-rang najar aati hai,
Koi intezar karta hai mohabbat ka,
Toh kisi ki mohabbat intezar bann jati hai.”
……………………………………
“Ek baar kisi se pyaar kar lena,
Jindagi me kisi ke liye intezar kar lena,
Badi khushi milegi Bas,
Thoda sabr rakh lena.”
……………………………………
“Yaadon ka ye karwan hamesha rahega,
Durr jaate huye bhi pyaar wahi rahega,
Maaf karna mil nahi sake aap se,
Yakeen rakhna aankhiyon mein intezar wahi rahega.”
Best Tera Intezaar Shayari in Hindi

“Armaan tha tere sath jindagi bitane ka,
Sikhwa hai khud se khamosh reh jane ka,
Deewangi isse badh kar aur kya hogi,
Aaj bhi intezar hai tere aane ka.”
……………………………………
“Vaada hai khud se agar tum na mili,
Itna durr chala jaunga tujhse,
Phir intezar karti reh jaogi,
Kabhi na mil paunga tujhse.”
……………………………………
“Tum laut ke aaoge hum se milne,
Roj dil ko bahlane ki aadat ho gayi,
Tere vaade par kya bharosa kiya,
Har sham tera intezar karne ki aadat ho gayi.”
……………………………………
“Jaam tootne ka bahana na kiya kar,
Hum to teri aankhon se pee lenge,
Tu mat aa lekin aane ka vaada to kar,
Hum tere intezar mein hi jee lenge.”
Read more shayari:
Umeed hain ki aapko hamare dwara banayi gayi Uska Intezar Shayari ka sangrah pasand aayega. Aap isey pinterest, whatsapp, facebook par share kar sakte hain. Aap humse isi tarah jude rahiye aur hame support karte rahiye.